VIEW FULL VERSION: Link
Title: Ishq Hai Yun
Category: Other
Blog Entry: Kuch kadmo ki hi doorie par woh mere saamne haiChupke se dekh aankhien band kar leta hoonKya waqt ki majboori hai use choo nahi saktaZindagi saamne hai mere saansein le nahi sakta------------------------------------------------Uski maasoom nigahein jaise meri nazron se miliUske hoto pe khamosh si harkat thiAAB-E-DEEDAH se meri bebasi yun byaan huiZamaane ke shor mein yun aakhri mulaqaat anjaam hui---------------------------------------------------Mera dil ab samjha hai yeh Ishq gazab hai kyunBand nigahon mein tera tassavur ajab hai kyunSaagar mein rehkar bhi paani ki tadap hai kyunUse na choo paane ke baad maaloom hua, Ishq ehsaas hai kyunJo ho nahi sakta mera, uski chaah hai kyunBada ajab hai, Bada gazab haiBas yeh ISHQ hi hai yun....AAB-E-DEEDAH = TEARFUL EYESTASSAVUR= PORTRAIT