Title: Shayad
Category: Other
Blog Entry: Khamosh Rehna bhi chahti hoonBaaten Karna bhi chahtee hoonShaayad mein tumhein mehsoos karna chahtee hoon..Mein Rona bhi chahtee hoonMein hansna bhi chahtee hoonShayad mein tumhare woh khat phadhna chahtee hoon..Tumse door jaana bhi chahtee hoonTumhare nazdeek rehna bhi chahtee hoonShayad mein koi naya imtehaan dena chahtee hoon..Mein doob jaana bhi chahtee hoonMein ubar jana bhi chahtee hoonShayad mein paani ko muthhi mein lena chahtee hoon..Zindagi Jeena bhi chahtee hoonMaut ko dekhna bhi chahtee hoonShayad mein khud ko saabit karna chahtee hoon...
VIEW FULL VERSION: Link