VIEW FULL VERSION: Link
Title: Kaash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Category: Other
Blog Entry: Kaash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan HotaTu Bade Pyar Se Chaah Se Bade Armaan Ke SaathApni Naazuk Si Kalayee Mein Charrhati Mujh KoAur Betaabi Se Furqat Ke Lamhon MeinTu Kisi Soch Mein Doobi Jo Ghoomaati MujhkoMain Tere Haath Ki Khushboo Se Mehek Sa JaataJab Kabhi Mood Main Aa Kar Mujhe Chuma KartiTere Honton Ki Hiddat Se Dehek Sa JataRaat Ko Jab Bhi Tu Neendon Ke Safar Par JaatiMarmarin Haath Ka Ek Takya Banaya KartiMain Tere Kaan Se Lag Kar Kayee Baatein KartaTeri Zulfon Ko Tere Gaal Ko Chooma KartaJab Bhi Tu Band Quba Kholne Lagti JaanaanApni Aankhon Ko Tere Husn Se Khira KartaMujhko Betaab Sa Rakhta Teri Chaahat Ka NashaMain Teri Rooh Ke Gulshan Main Mehekta RehtaMain Tere Jism Ke Aangan Main Khanakta RehtaKuch Nahin To Younhi Be Naam Sa Bandhan HotaKaash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota.